Masoom Nazuk Si Larki
Best Urdu Poetry 2021
Kahin Eik Masoom Nazuk Si Larki
Boht Khubsurt Magr Sanwli Si
Mujhe Apne Khawabo Ki Banho Main Pa kr
Kabhi Neend Main Muskurati To Hogi
Usi Neend Main Kasmasaa Kasmasaa Kr
Sarhane Se Takiyaa Girati To Hogi
Wohi Khawab Din ki Mandeero py Aakay
Usy Mann hi Mann Mein Lubhaatay To Hongay
Kai Saaz Seenay Ki Khamoshio Main
Meri Yaad Main Jhunjhulaatay To
Hongay
Wo Be-Sakhta Dheeme Dheeme Suron Main
Meri Dhunn Main Kuch Gungunati To Hogi
Chalo Khat Likhein Jee Main Ata To Hoga
Han Magr Ungliyan Kapkapati To Hongi
Qalam Hath Se Chhoott Jata to Hoga
Umangein Qalam Phir Uthati to Hongi
Mera Naam Apni Kitabo pay Likh Kr
Wo Daanto main Ungli Dabati To Hogi
Zuban se Kabhi Uff Nikalti To Hogi
Badan Dheeme Dheeme Sulagta To Hoga
Kahin k Kahin Paaon Partay To Hongay
Zameen Tak Dupatta Sirkta to Hoga
Kabhi Subah Tak Shaam Kehti To Hogi
Kabhi Rat Ko Din Batati To Hogi
Hr Eik Cheez Hatho Se Girti to Hogi
Tabiyat Pay Hr Kam Khalta To Hoga
Bartan Kabhi Toot Jatay To Hongay
Kabhi Dhoodh Chulhay pay Jalta To Hoga
Gharz Apni Masoom Nadaniyo par
Wo Nazuk Badan Jheenp Jati To Hogi
Kahin Eik Masoom Nazuk Si Larki
No comments:
Post a Comment